Wednesday 31 July 2013

Ye husn tera ye ishq mera – Sahir Ludhianvi.

Ye husn tera ye ishq mera
rangin to hai badnam sahi
mujh par to kai ilzam lage
tujh par bhi koi ilzam sahi
is raat ke nikhari rangat ko
kuch aur nikhar jane de zara
nazron ko bahak jane de zara
zulfon ko bikhar jane de zara
kuch der ke hi taskin sahi
kuch der ka hi aaram sahi
jazbat ke kaliyan chunana hai
aur pyar ka tohfa dena hai
logon ke nigahen kuch bhi kahen
logon se hamen kya lena hai
ye khas ta’alluq aapas ka
duniya ke nazar mein aam sahi
rusavai ke dar se ghabara kar
hum tark-e-vafa kab karte hain
jis dil ko basa lain pehlu mein
us dil ko juda kab karte hain
jo hashr hua hai lakhon ka
apna bhi wohi anjam sahi
ye husn tera ye ishq mera
rangin to hai badnam sahi
mujh par to kai ilzam lage
tujh par bhi koi ilzam sahi

No comments:

Post a Comment