Wednesday 31 July 2013

Ye husn tera ye ishq mera – Sahir Ludhianvi.

Ye husn tera ye ishq mera
rangin to hai badnam sahi
mujh par to kai ilzam lage
tujh par bhi koi ilzam sahi
is raat ke nikhari rangat ko
kuch aur nikhar jane de zara
nazron ko bahak jane de zara
zulfon ko bikhar jane de zara
kuch der ke hi taskin sahi
kuch der ka hi aaram sahi
jazbat ke kaliyan chunana hai
aur pyar ka tohfa dena hai
logon ke nigahen kuch bhi kahen
logon se hamen kya lena hai
ye khas ta’alluq aapas ka
duniya ke nazar mein aam sahi
rusavai ke dar se ghabara kar
hum tark-e-vafa kab karte hain
jis dil ko basa lain pehlu mein
us dil ko juda kab karte hain
jo hashr hua hai lakhon ka
apna bhi wohi anjam sahi
ye husn tera ye ishq mera
rangin to hai badnam sahi
mujh par to kai ilzam lage
tujh par bhi koi ilzam sahi

Muhabbat Yak Tarfa Hoti Hai.

Muhabbat Yak Tarfa Hoti Hai
Muhabbat Do Tarfa Hoti Hai
Muje To Bus Malum Hai Itna K
Muhabbat Ek Katra Hoti Hai

Mera Din Chupa Kisi Raat May.

Mera Din Chupa Kisi Raat May
Meri Raat Chupi Kisi Zaat May
Meri Zindgi Kisi Raaz May
Koi Raaz Hai Meri Zaat May
May Jahan Kaheen Bhatak Gia
May Girta Girta Sanbhal Gia
Mujhy Thokroun Se Pata Chala
Koi Haath Hai Mery Haath May

Merey Pass Sey Guzer Gaya,Is Ney Daikha Bhi Nahe

Merey Pass Sey Guzer Gaya,Is Ney Daikha Bhi Nahe
Tum Chahat Ki Bat Kartey Ho Woh To Bolo Bhi Nahe
Hum Bara Maan Kartey Thai Isey Jan Samajhtey Thai
Durr Sey Guzar Gaya Hamari Taraf Ik Kadam Chala Bhi Nahe
Kya Ab Kabhi Tu Karey Ga Kisi Ghair Par Bharosa
Woh Bhi To Daita Tha Kasmey Jis Ney Pucha Haal Tak Nahe

Dil Maray Mujh Say Sanbhalnay Ka Wada Ker Lay.

Dil Maray Mujh Say Sanbhalnay Ka Wada Ker Lay
Samnay Bhaytayn Hain Unsay Milnay Ka Erada Ker Lay
Koiee Baat Bhi Ais Waqat Aun Say Ker Lay
Pass Anay Ka Unsay Koiee Bahana Ker Lay
Jazbaat Per Appnay Pahaylay Zara Qaboo Ker Lay
Aizharay Piyar Ka Thoray Sa Ahtaymam Ker Lay

Deeiray Dheeray Dil Main Utarta Jata Hai Koi.

Deeiray Dheeray Dil Main Utarta Jata Hai Koi
Mujh Ko MAIRI JAAN Bulata Hai Koi
Main Toot Ke Bikhar Jaon, Ye Mumkin Nahi
Boht Piyar Se Sath Apne Mujhe Sulata Hai Koi

PAS Aao, Ik Ilteja Sun Lo.

PAS Aao, Ik Ilteja Sun Lo
Pyar Ha Be-Panah Sun Lo
Ek Tumhi Ko Khud Sa Manga Ha
Jab B Koi Dua Mangi Sun Lo
Ibteda Ishq Ki How Tum Sa
Tum Ko Chahat Ki Inteha Sun Lo
Bin Tere Je Nahi Sakunge Main
Lot Ao Mere Sada Sun Lo
Dekh Lo Zindagi Adhuri Ha
Na Raho Aur Ab JUDA Sun Lo..